Kabir Das, Tulsidas, aur Surdas jese mashhoor kavi ne apni kavitaon aur dohon ke zariye insaaniyat, prem aur bhakti ka paigham diya.
Shayari ka asal maqsad sirf lafzon ki khoobsurti dikhana nahi hota, balke dil se nikalne wale jazbaat ko dusre tak pohchana hota hai. Hindi Shayari mein mohabbat, udaasi, dosti, wafadari, aur zindagi ke tajurbe baray hi khoobsurat andaz mein samne aate hain. Is mein kabhi khushi ka izhar hota hai aur kabhi gham ki tasveer. Isi liye Shayari har daur aur har umr ke logon ke dil ko choo jati hai.